dusron ke waste bad-haal rah kar kya mila
dūsroñ ke vāste bad-hāl rah kar kyā milā
ġham chhupā kar umr bhar ḳhush-hāl rah kar kyā milā
sirf logoñ ko hañsī aa.ī mire hālāt par
kyā batā.eñ be-sabab kañgāl rah kar kyā milā
be-sahārā un parindoñ kā Thikāna piiTh par
aap kyā samjheñge mujh ko Daal rah kar kyā milā
neh kī puchkāriyoñ ke saath maiñ ashīsh bhī
maiñ samajh saktā huuñ roTī daal rah kar kyā milā
jānvar insān pakshī koī bhī aatā nahīñ
gaañv kā sūkhā huā phir taal rah kar kyā milā
in parindoñ ko pakaḌ kar qaid karnā be-sabab
soñchtā huuñ zindagī bhar jaal rah kar kyā milā
aañkh se bahte hue aañsū nahīñ pochhe ga.e
vyarth hī rakkhā rahā rūmāl rah kar kyā milā
dusron ke waste bad-haal rah kar kya mila
gham chhupa kar umr bhar KHush-haal rah kar kya mila
sirf logon ko hansi aai mere haalat par
kya bataen be-sabab kangal rah kar kya mila
be-sahaara un parindon ka Thikana piTh par
aap kya samjhenge mujh ko Dal rah kar kya mila
neh ki puchkariyon ke sath main ashish bhi
main samajh sakta hun roTi dal rah kar kya mila
jaanwar insan pakshi koi bhi aata nahin
ganw ka sukha hua phir tal rah kar kya mila
in parindon ko pakaD kar qaid karna be-sabab
sonchta hun zindagi bhar jal rah kar kya mila
aankh se bahte hue aansu nahin pochhe gae
wyarth hi rakkha raha rumal rah kar kya mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.