dusron ki aankh le kar bhi pashemani hui
dūsroñ kī aañkh le kar bhī pashemānī huī
ab bhī ye duniyā hameñ lagtī hai pahchānī huī
ashk kī be-rañg khetī muddatoñ meñ lahlahā.ī
pahle kitnā qaht thā ab kuchh farāvānī huī
ḳhud ko ham pahchān paa.e ye bahut achchhā huā
jism ke haijān meñ rūhoñ kī 'uryānī huī
maiñ to ik ḳhushbū kā jhoñkā tere dāman kā hī thā
bū-e-gul se aa milā kyuuñ tujh ko hairānī huī
us kā bāzār-e-havas meñ qadr-dāñ hī kaun thā
jins-e-dil kī phir yahāñ kyuuñ itnī arzānī huī
dusron ki aankh le kar bhi pashemani hui
ab bhi ye duniya hamein lagti hai pahchani hui
ashk ki be-rang kheti muddaton mein lahlahai
pahle kitna qaht tha ab kuchh farawani hui
KHud ko hum pahchan pae ye bahut achchha hua
jism ke haijaan mein ruhon ki 'uryani hui
main to ek KHushbu ka jhonka tere daman ka hi tha
bu-e-gul se aa mila kyun tujh ko hairani hui
us ka bazar-e-hawas mein qadr-dan hi kaun tha
jins-e-dil ki phir yahan kyun itni arzani hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.