dusron mein nikale hai wo KHamiyan
dūsroñ meñ nikāle hai vo ḳhāmiyāñ
dekh lo kis qadar us meñ haiñ ḳhūbiyāñ
ham ne jin ke sabhī ġham ḳhushī se liye
dekhte hī rahe vo to sūd-o-ziyāñ
ḳhuub se ḳhūb-tar aap hone lage
maañd paḌne lagīñ saarī ra.anā.iyāñ
aarzī pyaar apnoñ se bhī kyoñ agar
ġhair se aap ko ishq hai jāvedāñ
rāhbar se gila be-sabab be-asar
jab muqaddar meñ thiiñ apne gumrāhiyāñ
chain se jī rahā hogā vo bhī kahāñ
jis ne 'tāhir' ko diiñ itnī be-chainiyāñ
dusron mein nikale hai wo KHamiyan
dekh lo kis qadar us mein hain KHubiyan
hum ne jin ke sabhi gham KHushi se liye
dekhte hi rahe wo to sud-o-ziyan
KHub se KHub-tar aap hone lage
mand paDne lagin sari ranaiyan
aarzi pyar apnon se bhi kyon agar
ghair se aap ko ishq hai jawedan
rahbar se gila be-sabab be-asar
jab muqaddar mein thin apne gumrahiyan
chain se ji raha hoga wo bhi kahan
jis ne 'tahir' ko din itni be-chainiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.