etibar-e-nigah-e-yar ne dam toD diya
e'tibār-e-nigah-e-yār ne dam toḌ diyā
aaj ik hijr ke bīmār ne dam toḌ diyā
ziist ke qāfila-e-sālār ne dam toḌ diyā
rāh-e-ulfat meñ dil-e-zār ne dam toḌ diyā
hai shifāyāb marīz-e-ġham-e-hastī ai dost
zindagī thak ga.ī āzār ne dam toḌ diyā
kyā kiyā aap ne chehra se haTā kar parda
daf.atan hasrat-e-dīdār ne dam toḌ diyā
kyā tire sāġhar-e-dil kī vo khanak thī saaqī
jis kī āvāz pe mai-ḳhvār ne dam toḌ diyā
manzil-e-azmat-e-ulfat kā pata pā na sake
aql kī tāqat-e-raftār ne dam toḌ diyā
aap ye āḳhirī paiġhām-e-masarrat sun leñ
ki 'hayāt'-e-jigar-afgār ne dam toḌ diyā
e'tibar-e-nigah-e-yar ne dam toD diya
aaj ek hijr ke bimar ne dam toD diya
zist ke qafila-e-salar ne dam toD diya
rah-e-ulfat mein dil-e-zar ne dam toD diya
hai shifayab mariz-e-gham-e-hasti ai dost
zindagi thak gai aazar ne dam toD diya
kya kiya aap ne chehra se haTa kar parda
dafatan hasrat-e-didar ne dam toD diya
kya tere saghar-e-dil ki wo khanak thi saqi
jis ki aawaz pe mai-KHwar ne dam toD diya
manzil-e-azmat-e-ulfat ka pata pa na sake
aql ki taqat-e-raftar ne dam toD diya
aap ye aaKHiri paigham-e-masarrat sun len
ki 'hayat'-e-jigar-afgar ne dam toD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.