etibar-e-umr-e-fani kuchh nahin
e'tibār-e-umr-e-fānī kuchh nahīñ
chaar din kī zindagānī kuchh nahīñ
vaqt-e-pīrī zindagānī kuchh nahīñ
zindagānī be-javānī kuchh nahīñ
āñsuoñ se kyā bujhe dil kī lagī
aag ke aage ye paanī kuchh nahīñ
sun ke vo afsāna-e-ulfat mirā
bole ye jhūTī kahānī kuchh nahīñ
us qafas meñ dī jagah sayyād ne
jis meñ haftoñ dāna-pānī kuchh nahīñ
be-baqā hai ālam-e-nā-pā.edār
kuchh nahīñ duniyā-e-fānī kuchh nahīñ
ḳhushk hai be-ashk kisht-e-ārzū
sūkhtā hai dhaan paanī kuchh nahīñ
jām-e-mai jab tak hai gardish meñ 'shahīr'
ḳhauf-e-daur-e-āsmānī kuchh nahīñ
e'tibar-e-umr-e-fani kuchh nahin
chaar din ki zindagani kuchh nahin
waqt-e-piri zindagani kuchh nahin
zindagani be-jawani kuchh nahin
aansuon se kya bujhe dil ki lagi
aag ke aage ye pani kuchh nahin
sun ke wo afsana-e-ulfat mera
bole ye jhuTi kahani kuchh nahin
us qafas mein di jagah sayyaad ne
jis mein hafton dana-pani kuchh nahin
be-baqa hai aalam-e-na-paedar
kuchh nahin duniya-e-fani kuchh nahin
KHushk hai be-ashk kisht-e-arzu
sukhta hai dhan pani kuchh nahin
jam-e-mai jab tak hai gardish mein 'shahir'
KHauf-e-daur-e-asmani kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.