ehsan-e-sang-o-KHisht uTha lena chahiye
ehsān-e-sañg-o-ḳhisht uThā lenā chāhiye
ghar ab koī na koī banā lenā chāhiye
itnī ġhalat nahīñ hai ye vaa.iz kī baat bhī
thoḌā bahut savāb kamā lenā chāhiye
hālāt kyā hoñ agle paḌāv pe kyā ḳhabar
sapnā yā sañg koī bachā lenā chāhiye
vo raat hai ki saaya badan se hai munharif
ham kis jagah khaḌe haiñ patā lenā chāhiye
dushman yā dost kaun khaḌā hai pas-e-ġhubār
jo so rahe haiñ un ko jagā lenā chāhiye
husn-e-butāñ kī baat hī 'azmī' chhiḌī rahe
mausam kā kuchh na kuchh to mazā lenā chāhiye
ehsan-e-sang-o-KHisht uTha lena chahiye
ghar ab koi na koi bana lena chahiye
itni ghalat nahin hai ye waiz ki baat bhi
thoDa bahut sawab kama lena chahiye
haalat kya hon agle paDaw pe kya KHabar
sapna ya sang koi bacha lena chahiye
wo raat hai ki saya badan se hai munharif
hum kis jagah khaDe hain pata lena chahiye
dushman ya dost kaun khaDa hai pas-e-ghubar
jo so rahe hain un ko jaga lena chahiye
husn-e-butan ki baat hi 'azmi' chhiDi rahe
mausam ka kuchh na kuchh to maza lena chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.