ehsan tera dil mera kya yaad karega
ehsān tirā dil mirā kyā yaad karegā
jo ḳhaak ko us kī na tū barbād karegā
nai hasrat-e-gul-gasht na parvāz kī tāqat
sadqe meñ tire kyā mujhe āzād karegā
maujūd huuñ hāzir huuñ maiñ raazī huuñ maiñ ḳhush huuñ
sar par mire jo kuchh ki vo jallād karegā
juz ġham ke na hāsil huā sohbat meñ kisū kī
is dil ko ilāhī koī bhī shaad karegā
saudā na gayā us kā tabīboñ kī davā se
to aa ke ilaaj ab koī fassād karegā
jo is meñ bhī chañgā na huā to koī din meñ
jā ḳhāna-e-zanjīr ko ābād karegā
us kī jo kamar hove to khīñche koī 'hātim'
kyā apnā sar aa kar yahāñ bahzād karegā
ehsan tera dil mera kya yaad karega
jo KHak ko us ki na tu barbaad karega
nai hasrat-e-gul-gasht na parwaz ki taqat
sadqe mein tere kya mujhe aazad karega
maujud hun hazir hun main raazi hun main KHush hun
sar par mere jo kuchh ki wo jallad karega
juz gham ke na hasil hua sohbat mein kisu ki
is dil ko ilahi koi bhi shad karega
sauda na gaya us ka tabibon ki dawa se
to aa ke ilaj ab koi fassad karega
jo is mein bhi changa na hua to koi din mein
ja KHana-e-zanjir ko aabaad karega
us ki jo kamar howe to khinche koi 'hatim'
kya apna sar aa kar yahan bahzad karega
- Book : diivaan-zaada (Pg. 120)
- Publication : dillii kitaab ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.