ehsas dekhiye mere ashaar dekhiye
ehsās dekhiye mire ash.ār dekhiye
kyā kah rahī hai aap se fankār dekhiye
zarre meñ husn-e-matl.a-e-anvār dekhiye
alfāz kī tarāsh kā shāhkār dekhiye
tamsīl ban ga.ī ho jahāñ husn kī kashish
yūsuf ke saath misr kā bāzār dekhiye
ahl-e-shu.ūr ahl-e-nazar aap haiñ to phir
kyā kah rahī hai vaqt kī raftār dekhiye
ahl-e-sitam ke jabr-o-tashaddud ke bāvajūd
haq boltā hai ab bhī sar-e-dār dekhiye
tābāniyoñ meñ is tarah gum ho ga.ī hayāt
'chashma' bhī hai yahāñ pe gunahgār dekhiye
ehsas dekhiye mere ashaar dekhiye
kya kah rahi hai aap se fankar dekhiye
zarre mein husn-e-matla-e-anwar dekhiye
alfaz ki tarash ka shahkar dekhiye
tamsil ban gai ho jahan husn ki kashish
yusuf ke sath misr ka bazar dekhiye
ahl-e-shuur ahl-e-nazar aap hain to phir
kya kah rahi hai waqt ki raftar dekhiye
ahl-e-sitam ke jabr-o-tashaddud ke bawajud
haq bolta hai ab bhi sar-e-dar dekhiye
tabaniyon mein is tarah gum ho gai hayat
'chashma' bhi hai yahan pe gunahgar dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.