ehsas-e-bandagi se begana kar diya hai
ehsās-e-bandagī se begāna kar diyā hai
ifrāt-e-bandagī ne dīvāna kar diyā hai
jo raaz ittifāqan muñh se nikal gayā thā
vo raaz ehtiyātan afsāna kar diyā hai
maiñ ne qadam qadam par ka.aba banā banā kar
ka.abe meñ ehtimāman but-ḳhāna kar diyā hai
lāzim hai ehtiyāt ab har lafz-e-guftugū meñ
duniyā ne 'rāz' kis ko rusvā na kar diyā hai
ehsas-e-bandagi se begana kar diya hai
ifraat-e-bandagi ne diwana kar diya hai
jo raaz ittifaqan munh se nikal gaya tha
wo raaz ehtiyatan afsana kar diya hai
main ne qadam qadam par kaba bana bana kar
kabe mein ehtimaman but-KHana kar diya hai
lazim hai ehtiyat ab har lafz-e-guftugu mein
duniya ne 'raaz' kis ko ruswa na kar diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.