ehsas-e-be-zaban ki latafat isi mein thi
ehsās-e-be-zabāñ kī latāfat isī meñ thī
maiñ ne kahā na kuchh ki mohabbat isī meñ thī
ye shahr jis meñ naam kamānā muhāl thā
ham guftugū-e-shahr the shohrat isī meñ thī
vaise to dil ke TūTne kā kuchh nahīñ malāl
lekin tire jamāl kī sūrat isī meñ thī
achchhā huā ki dekhne aayā na vo hameñ
chehre pe pat-jhaḌoñ kī bhī 'izzat isī meñ thī
yārān-e-kam-nigāh use dekhte bhī kyā
ye sādgī ki saarī qayāmat isī meñ thī
ehsas-e-be-zaban ki latafat isi mein thi
main ne kaha na kuchh ki mohabbat isi mein thi
ye shahr jis mein nam kamana muhaal tha
hum guftugu-e-shahr the shohrat isi mein thi
waise to dil ke TuTne ka kuchh nahin malal
lekin tere jamal ki surat isi mein thi
achchha hua ki dekhne aaya na wo hamein
chehre pe pat-jhaDon ki bhi 'izzat isi mein thi
yaran-e-kam-nigah use dekhte bhi kya
ye sadgi ki sari qayamat isi mein thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.