ehsas-e-nadamat hai na kuchh pas-e-wafa hai
ehsās-e-nadāmat hai na kuchh pās-e-vafā hai
ik karb ke 'ālam meñ yahāñ ḳhalq-e-ḳhudā hai
ik shaḳhs jo manzil hai mirī merā patā hai
rakh kar vo kahīñ aur mujhe bhuul gayā hai
ik maiñ ki kisī dasht kā āvāra musāfir
ik vo ki har ik rah kā vahī qibla-numā hai
us shahr-e-sitamgar kā sitam pūchh na ham se
us shoḳh sitamgar kā sitam had se sivā hai
pāband-e-salāsil haiñ ham ik 'arse se 'āmir'
zindāñ meñ kahīñ shor na kuchh āh-o-bukā hai
ehsas-e-nadamat hai na kuchh pas-e-wafa hai
ek karb ke 'alam mein yahan KHalq-e-KHuda hai
ek shaKHs jo manzil hai meri mera pata hai
rakh kar wo kahin aur mujhe bhul gaya hai
ek main ki kisi dasht ka aawara musafir
ek wo ki har ek rah ka wahi qibla-numa hai
us shahr-e-sitamgar ka sitam puchh na hum se
us shoKH sitamgar ka sitam had se siwa hai
paband-e-salasil hain hum ek 'arse se 'amir'
zindan mein kahin shor na kuchh aah-o-buka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.