ehsas gham ka hai na KHushi ki KHushi mujhe
ehsas gham ka hai na KHushi ki KHushi mujhe
Sarahat Ahmad Sarahat
MORE BYSarahat Ahmad Sarahat
ehsās ġham kā hai na ḳhushī kī ḳhushī mujhe
dīvāna kar ga.ī hai tirī be-ruḳhī mujhe
mujh ko tire ḳhayāl ne itnā badal diyā
ahbāb bhī samajhne lage ajnabī mujhe
duniyā kā har charāġh jalā aur bujh gayā
dil ke charāġh hī se milī raushnī mujhe
har dam mirī nazar meñ tasavvur meñ aap haiñ
is vāste hai pyārī mirī zindagī mujhe
itne hazār zabt-o-taraddud ke bāvajūd
rah rah ke aa hī jaatī hai ḳhud par hañsī mujhe
ehsas gham ka hai na KHushi ki KHushi mujhe
diwana kar gai hai teri be-ruKHi mujhe
mujh ko tere KHayal ne itna badal diya
ahbab bhi samajhne lage ajnabi mujhe
duniya ka har charagh jala aur bujh gaya
dil ke charagh hi se mili raushni mujhe
har dam meri nazar mein tasawwur mein aap hain
is waste hai pyari meri zindagi mujhe
itne hazar zabt-o-taraddud ke bawajud
rah rah ke aa hi jati hai KHud par hansi mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.