ehsas ke makan ka darwaza kholiye
ehsās ke makān kā darvāza kholiye
sach ko dabī zabāñ se sahī sach to boliye
TuuTe na be-irāda kahīñ dil raqīb kā
mīzān-e-zehn meñ zarā alfāz toliye
dukh meñ to ḳhaak hī ne subūt-e-vafā diyā
hamrāh mere dhuul ke zarrāt ho liye
niglā na jā sake jise uglā na jā sake
yuuñ zahr zindagī meñ kisī kī na gholiye
sūraj se raushnī kī lakīreñ sameT kar
har sub.h ham ne daaġh añdheroñ ke dho liye
letā huuñ chand āḳhirī sāñseñ TaTol kar
ab aap aa.iye zarā do lafz boliye
dil kā charāġh kaun hai ik nafs ke sivā
āñkhoñ meñ 'nūr' ashk-e-nadāmat TaToliye
ehsas ke makan ka darwaza kholiye
sach ko dabi zaban se sahi sach to boliye
TuTe na be-irada kahin dil raqib ka
mizan-e-zehn mein zara alfaz toliye
dukh mein to KHak hi ne subut-e-wafa diya
hamrah mere dhul ke zarraat ho liye
nigla na ja sake jise ugla na ja sake
yun zahr zindagi mein kisi ki na gholiye
suraj se raushni ki lakiren sameT kar
har subh hum ne dagh andheron ke dho liye
leta hun chand aaKHiri sansen TaTol kar
ab aap aaiye zara do lafz boliye
dil ka charagh kaun hai ek nafs ke siwa
aankhon mein 'nur' ashk-e-nadamat TaToliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.