ehsas ki manzil se guzar jaega aaKHir
ehsās kī manzil se guzar jā.egā āḳhir
mujh meñ hai jo insān vo mar jā.egā āḳhir
ik din to tirī raah meñ pathrā.eñgī āñkheñ
ye jism bhī rezoñ meñ bikhar jā.egā āḳhir
ai dost yahāñ arz-e-hunar jaañ kā ziyāñ hai
tū gahre samundar meñ utar jā.egā āḳhir
maiñ rañg-e-sahar tere liye DhūñD ke lā.ūñ
tū shaam ke mele meñ kidhar jā.egā āḳhir
ehsas ki manzil se guzar jaega aaKHir
mujh mein hai jo insan wo mar jaega aaKHir
ek din to teri rah mein pathraengi aankhen
ye jism bhi rezon mein bikhar jaega aaKHir
ai dost yahan arz-e-hunar jaan ka ziyan hai
tu gahre samundar mein utar jaega aaKHir
main rang-e-sahar tere liye DhunD ke laun
tu sham ke mele mein kidhar jaega aaKHir
- Book : Hawa Ki Tahreer (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.