ehsas ki ragon mein utarne laga hai wo
ehsās kī ragoñ meñ utarne lagā hai vo
ab buuñd buuñd mujh meñ bikharne lagā hai vo
gumnāmiyoñ kī andhī guphā.eñ hoñ nauha-ḳhvāñ
mānind-e-āftāb ubharne lagā hai vo
kaise kahūñ ki ġham huā ḳhvāboñ kī bhiiḌ meñ
zaḳhmoñ kā indimāl to karne lagā hai vo
ik harf-e-ātishīñ bhī nahīñ us ke hoñT par
lagtā hai lahza lahza ThiThurne lagā hai vo
imkān kī hadoñ se guzarne ke ba.ad kyuuñ
ab reza reza ho ke bikharne lagā hai vo
utrā thā merī ruuh ke rauzan se jo kabhī
ghuT ghuT ke mere jism meñ marne lagā hai vo
ehsas ki ragon mein utarne laga hai wo
ab bund bund mujh mein bikharne laga hai wo
gumnamiyon ki andhi guphaen hon nauha-KHwan
manind-e-aftab ubharne laga hai wo
kaise kahun ki gham hua KHwabon ki bhiD mein
zaKHmon ka indimal to karne laga hai wo
ek harf-e-atishin bhi nahin us ke honT par
lagta hai lahza lahza ThiThurne laga hai wo
imkan ki hadon se guzarne ke baad kyun
ab reza reza ho ke bikharne laga hai wo
utra tha meri ruh ke rauzan se jo kabhi
ghuT ghuT ke mere jism mein marne laga hai wo
- Book : Roshni Ke Phool (Pg. 67)
- Author : Anwar Minai
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. Urdu Bazar Jamia Nagar, Delhi (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.