ehsas pe bojhal kuchh sadmat ka qissa hai
ehsās pe bojhal kuchh sadmāt kā qissa hai
ġham sirf taḳhayyul ke lamhāt kā qissa hai
shāyad maiñ nahīñ kuchh bhī shāyad maiñ bahut kuchh huuñ
kyā jaane mirā jīvan kis baat kā qissa hai
aayā huuñ kahāñ se maiñ jaanā hai kahāñ āḳhir
har sher mirā in hī fikrāt kā qissa hai
khoī huī manzil ke ham bhaTke musāfir haiñ
kuchh aur nahīñ duniyā be-bāt kā qissa hai
chal denā sahar hote so jaanā kahīñ thak kar
ham jaise faqīroñ ke din-rāt kā qissa hai
ehsas pe bojhal kuchh sadmat ka qissa hai
gham sirf taKHayyul ke lamhat ka qissa hai
shayad main nahin kuchh bhi shayad main bahut kuchh hun
kya jaane mera jiwan kis baat ka qissa hai
aaya hun kahan se main jaana hai kahan aaKHir
har sher mera in hi fikraat ka qissa hai
khoi hui manzil ke hum bhaTke musafir hain
kuchh aur nahin duniya be-baat ka qissa hai
chal dena sahar hote so jaana kahin thak kar
hum jaise faqiron ke din-raat ka qissa hai
- Book : سمے کمہار ہے
- Author : چندر واحد
- Publication : اے۔1؍بشچمی گورکھ پارک شاہدرہ دہلی۔32 (2001)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.