ehsas pe chhaya hai ek ehsas-e-garan aur
ehsās pe chhāyā hai ik ehsās-e-garāñ aur
ab dil bhī dhaḌaktā hai to hotā hai gumāñ aur
allāh re āshuftagī-e-shauq kā aalam
karte haiñ vo pursish to guzartā hai gumāñ aur
thamtī hī nahīñ joshish-e-jazbāt-e-mohabbat
kahte haiñ kuchh un se to bahaktī hai zabāñ aur
ik rabt bahar-hāl hai us rāhat-e-jāñ se
baḌhtā hai to baḌhne do abhī dard-e-nihāñ aur
shāyad ki abhī ḳhatm nahīñ silsila-e-shauq
nazroñ meñ hai ik manzil-e-benām-o-nishāñ aur
vāqif haiñ vo ḳhud apne har andāz-e-sitam se
ham kaise kaheñ dil meñ haiñ zaḳhmoñ ke nishāñ aur
kyā qahr hai majbūrī-e-ādāb-e-mohabbat
lete haiñ tirā naam to ruktī hai zabāñ aur
'ahmar' tapish-e-shauq salāmat hai ki pahroñ
rah rah ke abhī dil se jo uThtā hai dhuāñ aur
ehsas pe chhaya hai ek ehsas-e-garan aur
ab dil bhi dhaDakta hai to hota hai guman aur
allah re aashuftagi-e-shauq ka aalam
karte hain wo pursish to guzarta hai guman aur
thamti hi nahin joshish-e-jazbaat-e-mohabbat
kahte hain kuchh un se to bahakti hai zaban aur
ek rabt bahar-haal hai us rahat-e-jaan se
baDhta hai to baDhne do abhi dard-e-nihan aur
shayad ki abhi KHatm nahin silsila-e-shauq
nazron mein hai ek manzil-e-benam-o-nishan aur
waqif hain wo KHud apne har andaz-e-sitam se
hum kaise kahen dil mein hain zaKHmon ke nishan aur
kya qahr hai majburi-e-adab-e-mohabbat
lete hain tera nam to rukti hai zaban aur
'ahmar' tapish-e-shauq salamat hai ki pahron
rah rah ke abhi dil se jo uThta hai dhuan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.