ehsasat ki basti mein jab har jaanib ek sannaTa tha
ehsāsāt kī bastī meñ jab har jānib ik sannāTā thā
maiñ āvāzoñ ke jañgal meñ tab jaane kyā DhūñD rahā thā
jin rāhoñ se apne dil kā har qissa mansūb rahā hai
ab to ye bhī yaad nahīñ hai un rāhoñ kā qissa kyā thā
aaj usī ke afsānoñ kā mahfil mahfil charchā hogā
kal chaurāhe par tanhā jo shaḳhs bahut ḳhāmosh khaḌā thā
yuuñ jīvan ras kab detā hai phir se apne zaḳhm kuredo
tum ne āḳhir kyā sochā thā dard se kyuuñ sannyās liyā thā
aisī koī baat nahīñ thī un rāhoñ se lauT bhī aate
lekin un rāhoñ pe kisī ne kuchh din apnā saath diyā thā
is nagrī meñ lag-bhag sab ne ek tarah se choTeñ khā.īñ
lekin zaḳhmoñ ko sahlāne kā sab kā andāza judā thā
tum un begānī rāhoñ meñ āḳhir kis ko DhūñD rahe ho
vo to kab kā lauT chukā hai kal jo tumhāre saath chalā thā
ehsasat ki basti mein jab har jaanib ek sannaTa tha
main aawazon ke jangal mein tab jaane kya DhunD raha tha
jin rahon se apne dil ka har qissa mansub raha hai
ab to ye bhi yaad nahin hai un rahon ka qissa kya tha
aaj usi ke afsanon ka mahfil mahfil charcha hoga
kal chaurahe par tanha jo shaKHs bahut KHamosh khaDa tha
yun jiwan ras kab deta hai phir se apne zaKHm kuredo
tum ne aaKHir kya socha tha dard se kyun sannyas liya tha
aisi koi baat nahin thi un rahon se lauT bhi aate
lekin un rahon pe kisi ne kuchh din apna sath diya tha
is nagri mein lag-bhag sab ne ek tarah se choTen khain
lekin zaKHmon ko sahlane ka sab ka andaza juda tha
tum un begani rahon mein aaKHir kis ko DhunD rahe ho
wo to kab ka lauT chuka hai kal jo tumhaare sath chala tha
- Book : Lahar Lahar (Pg. 25)
- Author : Balbir Rathee
- Publication : Kadambari Prakashan, Delhi (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.