ehtimam-e-dasht-arai karo
ehtimām-e-dasht-ārā.ī karo
ek aalam ko tamāshā.ī karo
din kī piilī ḳhāmushī Das jā.egī
rāt-bhar hangāma-ārā.ī karo
hai sukūt-angez har harf-o-sadā
dosto ab tark goyā.ī karo
bhāgte sāyoñ se kaisī dostī
ḳhud se hī paidā shanāsā.ī karo
bach nikalne kā koī rasta nahīñ
ḳhud ko tasvīr-e-shakebā.ī karo
bazm meñ ho koī mauzū-e-suḳhan
chauk meñ apnī hī rusvā.ī karo
maiñ rahā tā-umr tūfāñ-āshnā
sāhilo merī pazīrā.ī karo
ehtimam-e-dasht-arai karo
ek aalam ko tamashai karo
din ki pili KHamushi Das jaegi
raat-bhar hangama-arai karo
hai sukut-angez har harf-o-sada
dosto ab tark goyai karo
bhagte sayon se kaisi dosti
KHud se hi paida shanasai karo
bach nikalne ka koi rasta nahin
KHud ko taswir-e-shakebai karo
bazm mein ho koi mauzu-e-suKHan
chauk mein apni hi ruswai karo
main raha ta-umr tufan-ashna
sahilo meri pazirai karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.