ehtimam-e-rasan-o-dar se kya hota hai
ehtimām-e-rasan-o-dār se kyā hotā hai
jis qadar zulm baḌhe azm sivā hotā hai
saut o āhang hī pairāya-e-iz.hār nahīñ
be-navā.ī meñ bhī andāz-e-navā hotā hai
ġham-zado dā.era-e-ġham se nikal kar dekho
dard se dard kā ehsās baḌā hotā hai
itne badle ga.e ādāb ki ab mahfil meñ
dil kī dhaḌkan pe bhī ehsās-e-sazā hotā hai
ravish-e-vaqt se māyūs na hoñ ahl-e-nazar
sāneha qismat-e-arbāb-e-vafā hotā hai
ehtimam-e-rasan-o-dar se kya hota hai
jis qadar zulm baDhe azm siwa hota hai
saut o aahang hi pairaya-e-izhaar nahin
be-nawai mein bhi andaz-e-nawa hota hai
gham-zado daera-e-gham se nikal kar dekho
dard se dard ka ehsas baDa hota hai
itne badle gae aadab ki ab mahfil mein
dil ki dhaDkan pe bhi ehsas-e-saza hota hai
rawish-e-waqt se mayus na hon ahl-e-nazar
saneha qismat-e-arbab-e-wafa hota hai
- Book : Maajra (Pg. 93)
- Author : Mohsin Bhopali
- Publication : Aiwan-e-Adab 8C Mohammad Ali society, Krachi (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.