ehtiram-e-gardish-e-ayyam karna hi paDa
ehtirām-e-gardish-e-ayyām karnā hī paḌā
ġham ġhalat karne ko shaġhl-e-jām karnā hī paḌā
muztarib rakhtā thā pal pal karb-e-ehsās-e-ziyāñ
āḳhir is muuzī ko zer-e-dām karnā hī paḌā
saath detī kab talak purkhoñ kī chhoḌī jā.idād
ek ik karke sabhī nīlām karnā hī paḌā
pai-ba-pai nākāmiyoñ kā karb thā sohān-e-rūh
qalb ko begāna-e-ālām karnā hī paḌā
mehrbāñ kahnā paḌā 'aḳhtar' kisī be-mehr ko
jo nahīñ karnā thā vo bhī kaam karnā hī paḌā
ehtiram-e-gardish-e-ayyam karna hi paDa
gham ghalat karne ko shaghl-e-jam karna hi paDa
muztarib rakhta tha pal pal karb-e-ehsas-e-ziyan
aaKHir is muzi ko zer-e-dam karna hi paDa
sath deti kab talak purkhon ki chhoDi jaidad
ek ek karke sabhi nilam karna hi paDa
pai-ba-pai nakaamiyon ka karb tha sohan-e-ruh
qalb ko begana-e-alam karna hi paDa
mehrban kahna paDa 'aKHtar' kisi be-mehr ko
jo nahin karna tha wo bhi kaam karna hi paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.