eid aai to aksar humse KHushiyon ne munh pher liya
eid aa.ī to aksar ham se ḳhushiyoñ ne muñh pher liyā
raushniyoñ ke tyauhāroñ meñ tīrgiyoñ ne gher liyā
sub.h huī to palak jhapakte bhuul ga.e ham go shab bhar
do āñkhoñ se yak-bīnī kā ek sabaq tā-der liyā
qāmat apnā sach pūchho to aisā koī kam bhī na thā
lekin chaar taraf se ham ko darāz-qadoñ ne gher liyā
din meñ bhī ham dekhne vaale ḳhvāb kahāñ āñkheñ phoḌeñ
ḳhvāboñ se pahle hī ham ko ta.abīroñ ne gher liyā
tauba tauba ye bhī koī jiinā hai 'muztar' sāhab
aañkh kahīñ pe laḌā.ī na mai pī aur na lutf-e-sher liyā
eid aai to aksar hum se KHushiyon ne munh pher liya
raushniyon ke tyauhaaron mein tirgiyon ne gher liya
subh hui to palak jhapakte bhul gae hum go shab bhar
do aankhon se yak-bini ka ek sabaq ta-der liya
qamat apna sach puchho to aisa koi kam bhi na tha
lekin chaar taraf se hum ko daraaz-qadon ne gher liya
din mein bhi hum dekhne wale KHwab kahan aankhen phoDen
KHwabon se pahle hi hum ko tabiron ne gher liya
tauba tauba ye bhi koi jina hai 'muztar' sahab
aankh kahin pe laDai na mai pi aur na lutf-e-sher liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.