ek aaina miyan-e-man-o-tu rakh dena
ek ā.īna miyān-e-man-o-tū rakh denā
kabhī tasvīr tarashnā to kabhū rakh denā
kūza-gar ab ke banānā mujhe vahshat-timsāl
dard meñ kaif tabassum meñ lahū rakh denā
maiñ kisī aur sitāre pe khilūñ-gī is baar
tū mirī ḳhaak tah-e-ḳhāk-e-numū rakh denā
vā kiye aanā tirā vo dar-e-mai-ḳhāna-e-chashm
aur vo dil kā pare jām-o-subū rakh denā
dekhnā rā.egāñ jaa.e na mirā qissa-e-hijr
zaḳhma-var saaz meñ ik tār-e-gulū rakh denā
adh-silā hai abhī zaḳhm-e-lab-e-sozāñ so idhar
ik gulāb aur ba-andāz-e-rafū rakh denā
ḳhud se milnā ho to sadiyoñ ke fusūñ se aage
dasht-e-imkān meñ āvāza-e-hū rakh denā
ek aaina miyan-e-man-o-tu rakh dena
kabhi taswir tarashna to kabhu rakh dena
kuza-gar ab ke banana mujhe wahshat-timsal
dard mein kaif tabassum mein lahu rakh dena
main kisi aur sitare pe khilun-gi is bar
tu meri KHak tah-e-KHak-e-numu rakh dena
wa kiye aana tera wo dar-e-mai-KHana-e-chashm
aur wo dil ka pare jam-o-subu rakh dena
dekhna raegan jae na mera qissa-e-hijr
zaKHma-war saz mein ek tar-e-gulu rakh dena
adh-sila hai abhi zaKHm-e-lab-e-sozan so idhar
ek gulab aur ba-andaz-e-rafu rakh dena
KHud se milna ho to sadiyon ke fusun se aage
dasht-e-imkan mein aawaza-e-hu rakh dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.