ek aalam hai be-qarari ka
ek aalam hai be-qarārī kā
goyā mausam hai āh-o-zārī kā
jis kā dil hai ġhamoñ kā shaidā.ī
use kyā shikva ġham-gusārī kā
ishq meñ dil to ho gayā aise
jaise kaasa kisī bhikārī kā
be-ḳhabar the jo ham samajhte the
ishq ko khel ik madārī kā
ek aalam hai be-qarari ka
goya mausam hai aah-o-zari ka
jis ka dil hai ghamon ka shaidai
use kya shikwa gham-gusari ka
ishq mein dil to ho gaya aise
jaise kasa kisi bhikari ka
be-KHabar the jo hum samajhte the
ishq ko khel ek madari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.