ek aalam hai hamare aish-o-ishrat ke liye
ek aalam hai hamāre aish-o-ishrat ke liye
kyā qayāmat hai ki ham rote haiñ qismat ke liye
chaar din kī zindagī hai dostoñ hañs bol lo
phir to ronā hai qayāmat tak qayāmat ke liye
sirf itnī ārzū-e-āshiq-e-nāshād hai
koī doshīza zamīñ ho merī turbat ke liye
ek aalam hai hamare aish-o-ishrat ke liye
kya qayamat hai ki hum rote hain qismat ke liye
chaar din ki zindagi hai doston hans bol lo
phir to rona hai qayamat tak qayamat ke liye
sirf itni aarzu-e-ashiq-e-nashad hai
koi doshiza zamin ho meri turbat ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.