ek aalam hai jahan be-sar-o-samani hai
ek 'ālam hai jahāñ be-sar-o-sāmānī hai
kaun aa.egā yahāñ be-sar-o-sāmānī hai
ik kalīse se dhuāñ be-sar-o-sāmānī hai
ek masjid se azaañ be-sar-o-sāmānī hai
ek dariyā hai azal tā-ba-abad bīchoñ-bīch
bhiiḌ hai tā-ba-karāñ be-sar-o-sāmānī hai
ek amboh hai manzil ke liye sargardāñ
shahr hai dasht-e-gumāñ be-sar-o-sāmānī hai
ek parkār se kuchh dā.ere haiñ khīñche hue
aur chaltā hai jahāñ be-sar-o-sāmānī hai
maiñ kisī Daal pe baiThā huā tanhā panchhī
us ke hāthoñ meñ kamāñ be-sar-o-sāmānī hai
ek 'alam hai jahan be-sar-o-samani hai
kaun aaega yahan be-sar-o-samani hai
ek kalise se dhuan be-sar-o-samani hai
ek masjid se azan be-sar-o-samani hai
ek dariya hai azal ta-ba-abad bichon-bich
bhiD hai ta-ba-karan be-sar-o-samani hai
ek amboh hai manzil ke liye sargardan
shahr hai dasht-e-guman be-sar-o-samani hai
ek parkar se kuchh daere hain khinche hue
aur chalta hai jahan be-sar-o-samani hai
main kisi Dal pe baiTha hua tanha panchhi
us ke hathon mein kaman be-sar-o-samani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.