ek aalam usko rota hi raha
ek aalam us ko rotā hī rahā
'akbar' apnī niiñd sotā hī rahā
maiñ na samjhā sard-o-garm-e-rozgār
umr bhar in ko samotā hī rahā
mere armānoñ kī kasrat dekhnā
āsmāñ ko uzr hotā hī rahā
nafā aur nuqsān-e-hastī kyā batā.ūñ
is qadar paayā ki khotā hī rahā
mere dil meñ un ke mizhgāñ kā ḳhayāl
ek barchhī sī chubhotā hī rahā
hirs-e-jannat din-ba-din baḌhtī ga.ī
muft zāhid umr khotā hī rahā
ham umīd-e-vasl par jiite rahe
ahd puurā un kā hotā hī rahā
kūcha-e-saffāk kab ḳhālī rahā
ik na ik kā ḳhuun hotā hī rahā
jo hunar 'akbar' ne yaañ paidā kiyā
āsmān us ko Dubotā hī rahā
ek aalam us ko rota hi raha
'akbar' apni nind sota hi raha
main na samjha sard-o-garm-e-rozgar
umr bhar in ko samota hi raha
mere armanon ki kasrat dekhna
aasman ko uzr hota hi raha
nafa aur nuqsan-e-hasti kya bataun
is qadar paya ki khota hi raha
mere dil mein un ke mizhgan ka KHayal
ek barchhi si chubhota hi raha
hirs-e-jannat din-ba-din baDhti gai
muft zahid umr khota hi raha
hum umid-e-wasl par jite rahe
ahd pura un ka hota hi raha
kucha-e-saffak kab KHali raha
ek na ek ka KHun hota hi raha
jo hunar 'akbar' ne yan paida kiya
aasman us ko Dubota hi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.