ek aansu jo meri aankh se Tapka hai abhi
ek aañsū jo mirī aañkh se Tapkā hai abhī
zabt kī intihā dil ya.anī ki samjhā hai abhī
ek halkī sī mahak aa.ī hai mujh tak dekho
kaun chhū kar mirī dahlīz ko guzrā hai abhī
maut kī pā.egā ik roz sazā kah do use
haq jo jiine kā yahāñ māñgne aayā hai abhī
jo mire dil meñ dhaḌaktā rahā dhaḌkan ban kar
sīḌhiyāñ dil kī mire dekh lo utrā hai abhī
chhīn kar haq mirā mālūm nahīñ hai us ko
din vo mahshar kā jo aanā thā vo aayā hai abhī
aise sākit huā ye jism ki jaise us ne
mujh pe jaadū koī paḌhte hue phūñkā hai abhī
apne bachchoñ ko tū jā aur bachā le 'fahmī'
ek gaDDhā na.ī tahzīb ne khodā hai abhī
ek aansu jo meri aankh se Tapka hai abhi
zabt ki intiha dil yani ki samjha hai abhi
ek halki si mahak aai hai mujh tak dekho
kaun chhu kar meri dahliz ko guzra hai abhi
maut ki paega ek roz saza kah do use
haq jo jine ka yahan mangne aaya hai abhi
jo mere dil mein dhaDakta raha dhaDkan ban kar
siDhiyan dil ki mere dekh lo utra hai abhi
chhin kar haq mera malum nahin hai us ko
din wo mahshar ka jo aana tha wo aaya hai abhi
aise sakit hua ye jism ki jaise us ne
mujh pe jadu koi paDhte hue phunka hai abhi
apne bachchon ko tu ja aur bacha le 'fahmi'
ek gaDDha nai tahzib ne khoda hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.