ek aawaz lagani hai guzar jaana hai
ek āvāz lagānī hai guzar jaanā hai
ham faqīroñ ne bhalā kaun sā ghar jaanā hai
baat rah jā.egī paTrī pe hasīñ āñkhoñ kī
rail ruknī hai musāfir ne utar jaanā hai
saañs Dorī ko tire haath se yuuñ bāñdh liyā
tū ne jab haath chhuḌānā hai to mar jaanā hai
baat to jab hai mirī aañkh mukammal kar de
dil to vaise bhī tarī se bhar jaanā hai
shukr hai mujh ko mire ġham ne sambhālā 'sājid'
varna māhaul se lagtā thā ki Dar jaanā hai
ek aawaz lagani hai guzar jaana hai
hum faqiron ne bhala kaun sa ghar jaana hai
baat rah jaegi paTri pe hasin aankhon ki
rail rukni hai musafir ne utar jaana hai
sans Dori ko tere hath se yun bandh liya
tu ne jab hath chhuDana hai to mar jaana hai
baat to jab hai meri aankh mukammal kar de
dil to waise bhi tari se bhar jaana hai
shukr hai mujh ko mere gham ne sambhaala 'sajid'
warna mahaul se lagta tha ki Dar jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.