ek aisa azm-e-rasiKH ab hamare dil mein hai
ek aisa azm-e-rasiKH ab hamare dil mein hai
Maya Khanna Raje Barelvi
MORE BYMaya Khanna Raje Barelvi
ek aisā azm-e-rāsiḳh ab hamāre dil meñ hai
gardish-e-ayyām bhī ḳhud in dinoñ mushkil meñ hai
apnī ulfat par bahut kuchh tabsire hote rahe
āzmā.ish merī ḳhāmoshī kī har mahfil meñ hai
rahrav-e-manzil na samjhā aaj tak ye falsafa
kārvān-e-zindagī kā har qadam manzil meñ hai
is ḳhushī kā ho burā majbūr kitnā kar diyā
soch kar hī rah ga.e ham kaisī ḳhvāhish dil meñ hai
terī merī kahne vaale soch lenā ek baar
jhuuT khulne par tirī izzat kisī mahfil meñ hai
sā.ebāñ to hai nahīñ koī bhī rāh-e-ishq meñ
soch kar rah rah ke ye ahl-e-ḳhirad mushkil meñ hai
ham se 'rāje' dushmanoñ kā bhī burā hotā nahīñ
dostī kā paas itnā to hamāre dil meñ hai
ek aisa azm-e-rasiKH ab hamare dil mein hai
gardish-e-ayyam bhi KHud in dinon mushkil mein hai
apni ulfat par bahut kuchh tabsire hote rahe
aazmaish meri KHamoshi ki har mahfil mein hai
rahraw-e-manzil na samjha aaj tak ye falsafa
karwan-e-zindagi ka har qadam manzil mein hai
is KHushi ka ho bura majbur kitna kar diya
soch kar hi rah gae hum kaisi KHwahish dil mein hai
teri meri kahne wale soch lena ek bar
jhuT khulne par teri izzat kisi mahfil mein hai
saeban to hai nahin koi bhi rah-e-ishq mein
soch kar rah rah ke ye ahl-e-KHirad mushkil mein hai
hum se 'raje' dushmanon ka bhi bura hota nahin
dosti ka pas itna to hamare dil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.