ek aisa bhi marhala hoga
ek aisā bhī marhala hogā
us ne sab kuchh miTā diyā hogā
ye jo laḌtā hai rāt-din mujh se
koī mujh meñ bhī dūsrā hogā
vo jo sachchī thī vo kahānī thī
ye jo qissa hai hādisa hogā
us ne sadiyoñ ko bāñdh rakkhā hai
vo jo kahtā thā kal rahā hogā
vo jo TuuTā thā niiñd jaisā kuchh
us kā naqsha bhī ḳhvāb sā hogā
vo jo kahtā thā kuchh nahīñ baaqī
ain mumkin hai kuchh huā hogā
ek aisa bhi marhala hoga
us ne sab kuchh miTa diya hoga
ye jo laDta hai raat-din mujh se
koi mujh mein bhi dusra hoga
wo jo sachchi thi wo kahani thi
ye jo qissa hai hadisa hoga
us ne sadiyon ko bandh rakkha hai
wo jo kahta tha kal raha hoga
wo jo TuTa tha nind jaisa kuchh
us ka naqsha bhi KHwab sa hoga
wo jo kahta tha kuchh nahin baqi
ain mumkin hai kuchh hua hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.