ek aise makan mein Thahre hain
ek aise makāñ meñ Thahre haiñ
jis ke bāhar anā ke pahre haiñ
shaam panchhī kahāñ guzāreñge
shāḳh-e-gul par jale basere haiñ
ham to malba haiñ nā-shanāsī kā
TūTe-phūTe se chand chehre haiñ
aaj bāñTī hai dhuup sūraj ne
apne dāman meñ kyuuñ añdhere haiñ
jaal TuuTe mile haiñ sāhil par
kaun jaane kahāñ machhere haiñ
ek aise makan mein Thahre hain
jis ke bahar ana ke pahre hain
sham panchhi kahan guzarenge
shaKH-e-gul par jale basere hain
hum to malba hain na-shanasi ka
TuTe-phuTe se chand chehre hain
aaj banTi hai dhup suraj ne
apne daman mein kyun andhere hain
jal TuTe mile hain sahil par
kaun jaane kahan machhere hain
- Book : Simati Dhoop (Pg. 29)
- Author : Rifat Shamim's
- Publication : Qalam Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.