ek ajab shahzada mere baghon ka
ek ajab shahzāda mere bāġhoñ kā
dekho aayā mausam surḳh charāġhoñ kā
naach rahī hai ek shajar par saarī bahār
aur yahāñ bhī shor bahut hai zāġhoñ kā
dil ke andar jhagḌā dekhne vāloñ meñ
dil ke andar mela ek charāġhoñ kā
dekho ab bhī mere mahl meñ rahtā hai
ek ajab vīrāna mere dāġhoñ kā
ek ajab shahzada mere baghon ka
dekho aaya mausam surKH charaghon ka
nach rahi hai ek shajar par sari bahaar
aur yahan bhi shor bahut hai zaghon ka
dil ke andar jhagDa dekhne walon mein
dil ke andar mela ek charaghon ka
dekho ab bhi mere mahl mein rahta hai
ek ajab virana mere daghon ka
- Book : chhaar khvaab (Pg. 112)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.