ek andoh-e-be-qayas mein hun
ek andoh-e-be-qayās meñ huuñ
aag huuñ ḳhaak ke libās meñ huuñ
kyā sukūnat sarā-e-fānī kī
ek ta.amīr-e-be-asās meñ huuñ
duur āb-e-furāt-e-fan hai hanūz
karbalā-e-suḳhan kī pyaas meñ huuñ
koī suntā to qadr bhī kartā
ek sahrā-e-nā-sipās meñ huuñ
sham-e-ummīd huuñ magar 'sahbā'
band fānūs-e-ranj-o-yās meñ huuñ
ek andoh-e-be-qayas mein hun
aag hun KHak ke libas mein hun
kya sukunat sara-e-fani ki
ek tamir-e-be-asas mein hun
dur aab-e-furaat-e-fan hai hanuz
karbala-e-suKHan ki pyas mein hun
koi sunta to qadr bhi karta
ek sahra-e-na-sipas mein hun
sham-e-ummid hun magar 'sahba'
band fanus-e-ranj-o-yas mein hun
- Book : Sarkashidah (Pg. 194)
- Author : Sahba Akhtar
- Publication : Maktaba-e-Nadeem ke airia ko rangi Karachi (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.