ek arse ki mashaqqat raegan hone ko hai
ek arse kī mashaqqat rā.egāñ hone ko hai
phir koī sāzish hamāre darmiyāñ hone ko hai
yā sarak jaane ko hai pairoñ ke nīche se zamīñ
yā hamāre sar se ruḳhsat āsmāñ hone ko hai
TūTne vaalā hai ab ke be-niyāzī kā tilism
vo ḳhafā hone ko hai yā mehrbāñ hone ko hai
dāman-e-dil se lipaT ke rah ga.ī hai zindagī
ye gale kā tauq hai ab harz-e-jāñ hone ko hai
kyā hamāre ibtilā meñ kuchh kamī thī 'āftāb'
kyā hamārā phir se koī imtihāñ hone ko hai
ek arse ki mashaqqat raegan hone ko hai
phir koi sazish hamare darmiyan hone ko hai
ya sarak jaane ko hai pairon ke niche se zamin
ya hamare sar se ruKHsat aasman hone ko hai
TuTne wala hai ab ke be-niyazi ka tilism
wo KHafa hone ko hai ya mehrban hone ko hai
daman-e-dil se lipaT ke rah gai hai zindagi
ye gale ka tauq hai ab harz-e-jaan hone ko hai
kya hamare ibtila mein kuchh kami thi 'aftab'
kya hamara phir se koi imtihan hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.