ek arz-e-muddaa hone se pahle
ek arz-e-mudda.ā hone se pahle
soch lenā thā ḳhudā hone se pahle
ḳhvāhisheñ kitnī adhūrī rah ga.ī haiñ
jism o jaañ meñ fāsla hone se pahle
āḳhirī tahrīr hai āb-e-ravāñ par
āḳhirī bosa qazā hone se pahle
is qadar mīThā na honā chāhiye thā
un laboñ ko zā.iqa hone se pahle
us kī āñkhoñ ke piyāle nāchte haiñ
kho ga.e kitne nasha hone se pahle
kaun jaane Dūbnā hai yā ubharnā
pāniyoñ meñ rāsta hone se pahle
ḳhud-kushī kar lī chamakte chāñd ne bhī
āḳhir-e-shab aa.inā hone se pahle
shahr se shādāñ guzar jaanā hai behtar
mushta.il āb-o-havā hone se pahle
vo makīn-e-dil huā ḳhurshīd-'akbar'
ghar kā darvāza khulā hone se pahle
ek arz-e-muddaa hone se pahle
soch lena tha KHuda hone se pahle
KHwahishen kitni adhuri rah gai hain
jism o jaan mein fasla hone se pahle
aaKHiri tahrir hai aab-e-rawan par
aaKHiri bosa qaza hone se pahle
is qadar miTha na hona chahiye tha
un labon ko zaiqa hone se pahle
us ki aankhon ke piyale nachte hain
kho gae kitne nasha hone se pahle
kaun jaane Dubna hai ya ubharna
paniyon mein rasta hone se pahle
KHud-kushi kar li chamakte chand ne bhi
aaKHir-e-shab aaina hone se pahle
shahr se shadan guzar jaana hai behtar
mushtail aab-o-hawa hone se pahle
wo makin-e-dil hua KHurshid-'akbar'
ghar ka darwaza khula hone se pahle
- Book : FALAK PAHLOO MEIN (Pg. 39)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.