ek baja hai raat ka ab to sone do
ek bajā hai raat kā ab to sone do
mobile bhī garm hai ThanDā hone do
aaj to pyāse sabr ke ghar meñ yakjā haiñ
dariyāoñ ko aaj akelā rone do
soch lo dil ko bāhar chhoḌ ke aa.e to
ham do meñ se rah jā.eñge paune do
āñdhī ne jo bhar dī hai in āñkhoñ meñ
jaane kis kī gard hai āñkheñ dhone do
is sofa par laTe ke maiñ so jā.ūñgā
un ke ḳhvāb ko bistar par hī sone do
ek baja hai raat ka ab to sone do
mobile bhi garm hai ThanDa hone do
aaj to pyase sabr ke ghar mein yakja hain
dariyaon ko aaj akela rone do
soch lo dil ko bahar chhoD ke aae to
hum do mein se rah jaenge paune do
aandhi ne jo bhar di hai in aankhon mein
jaane kis ki gard hai aankhen dhone do
is sofa par laTe ke main so jaunga
un ke KHwab ko bistar par hi sone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.