ek barchhi se mar jate ho
ek barchhī se maar jaate ho
dar par aa jab pukār jaate ho
ham se badte ho shart phir dekho
baar baar haar haar jaate ho
usī raste se dekhtā huuñ maiñ
jab na tab ho do-chār jaate ho
bhalā jaate to ho khaḌe hī khaḌe
ham se ho ham-kanār jaate ho
yuuñ chaḌhā juutā kas kamar ho chale
jab se gañgā ke paar jaate ho
yaad meñ kis kī ġhun-ġhunā-unnā
yuuñ bajāte sitār jaate ho
'azfarī' kis ke shauq meñ dauḌe
nañge pā muñh-nahār jaate ho
ek barchhi se mar jate ho
dar par aa jab pukar jate ho
hum se badte ho shart phir dekho
bar bar haar haar jate ho
usi raste se dekhta hun main
jab na tab ho do-chaar jate ho
bhala jate to ho khaDe hi khaDe
hum se ho ham-kanar jate ho
yun chaDha juta kas kamar ho chale
jab se ganga ke par jate ho
yaad mein kis ki ghun-ghuna-unna
yun bajate sitar jate ho
'azfari' kis ke shauq mein dauDe
nange pa munh-nahaar jate ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.