ek be-hasil talab be-nam ek manzil bana
ek be-hāsil talab be-nām ik manzil banā
TūTne ke ba.ad hī dil dar-haqīqat dil banā
manzileñ hī kyā nayā har jāda-e-manzil banā
lekin apne aap ko pahle kisī qābil banā
ham fareb-e-rañg-o-bū khā kar bhī aage baḌh ga.e
kam-nigāhoñ ke liye har marhala mushkil banā
kis qadar ahd-āfrīñ aalam hai terī zaat kā
jo tirī mahfil meñ aayā vo ḳhud ik mahfil banā
ġham se nā-mānūs rahne tak thiiñ saarī talḳhiyāñ
rafta rafta ġham hī apnī umr kā hāsil banā
pī ga.e kitne hī aañsū ham ba-nām-e-zindagi
ek muddat meñ kahīñ dil dard ke qābil banā
jazba-e-manzil salāmat rāstoñ kī kyā kamī
ham jidhar nikle nayā ik jāda-e-manzil banā
har maqām-e-zindagī par thā mirā aalam judā
maiñ kahīñ tūfāñ kahīñ kashtī kahīñ sāhil banā
tabsire karne lage haiñ log hasb-e-hausla
'shauq' āsānī se maiñ kuchh aur bhī mushkil banā
ek be-hasil talab be-nam ek manzil bana
TuTne ke baad hi dil dar-haqiqat dil bana
manzilen hi kya naya har jada-e-manzil bana
lekin apne aap ko pahle kisi qabil bana
hum fareb-e-rang-o-bu kha kar bhi aage baDh gae
kam-nigahon ke liye har marhala mushkil bana
kis qadar ahd-afrin aalam hai teri zat ka
jo teri mahfil mein aaya wo KHud ek mahfil bana
gham se na-manus rahne tak thin sari talKHiyan
rafta rafta gham hi apni umr ka hasil bana
pi gae kitne hi aansu hum ba-nam-e-zindagi
ek muddat mein kahin dil dard ke qabil bana
jazba-e-manzil salamat raston ki kya kami
hum jidhar nikle naya ek jada-e-manzil bana
har maqam-e-zindagi par tha mera aalam juda
main kahin tufan kahin kashti kahin sahil bana
tabsire karne lage hain log hasb-e-hausla
'shauq' aasani se main kuchh aur bhi mushkil bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.