ek be-nam jazire ke makin hain hum log
ek be-nām jazīre ke makīñ haiñ ham log
aise maujūd haiñ jaise ki nahīñ haiñ ham log
ham ko tahzīb-o-tamaddun meñ kahāñ DhūñDte ho
‘ahd-e-vahshat hai miyāñ jis ke qarīñ haiñ ham log
par ye tartīb zarā radd-o-badal chāhtī hai
āsmāñ tum ho abhī aur zamīñ haiñ ham log
diin agar zulmat-o-vahshat hai to ham mānte haiñ
sāhab-e-dīn ho tum dushman-e-dīñ haiñ ham log
bas yahī haq kī gavāhī ke liye kaafī hai
jis jagah terā nishāna hai vahīñ haiñ ham log
ek be-nam jazire ke makin hain hum log
aise maujud hain jaise ki nahin hain hum log
hum ko tahzib-o-tamaddun mein kahan DhunDte ho
‘ahd-e-wahshat hai miyan jis ke qarin hain hum log
par ye tartib zara radd-o-badal chahti hai
aasman tum ho abhi aur zamin hain hum log
din agar zulmat-o-wahshat hai to hum mante hain
sahab-e-din ho tum dushman-e-din hain hum log
bas yahi haq ki gawahi ke liye kafi hai
jis jagah tera nishana hai wahin hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.