ek be-nam sa Dar sine mein aa baiTha hai
ek be-nām sā Dar siine meñ aa baiThā hai
jaise ik bheḌiyā har dar se lagā baiThā hai
ek dhaḌkā sā lagā rahtā hai luT jaane kā
goyā pahre pe koī ḳhvāja-sarā baiThā hai
hurmateñ san.at-e-āhan kī tarah biktī haiñ
jis ko dekho vo ḳharīdār banā baiThā hai
aur kyā rab se vo māñgeñge fazīlat jin ke
zehn kore haiñ magar sar pe humā baiThā hai
ab 'hasan' miltā hai bāzār-e-ziyāñ meñ aksar
aisā lagtā hai koī ḳhvāb gañvā baiThā hai
ek be-nam sa Dar sine mein aa baiTha hai
jaise ek bheDiya har dar se laga baiTha hai
ek dhaDka sa laga rahta hai luT jaane ka
goya pahre pe koi KHwaja-sara baiTha hai
hurmaten sanat-e-ahan ki tarah bikti hain
jis ko dekho wo KHaridar bana baiTha hai
aur kya rab se wo mangenge fazilat jin ke
zehn kore hain magar sar pe huma baiTha hai
ab 'hasan' milta hai bazar-e-ziyan mein aksar
aisa lagta hai koi KHwab ganwa baiTha hai
- Book : Need Musafir (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.