ek be-nam si chahat ke siwa kuchh bhi nahin
ek be-nām sī chāhat ke sivā kuchh bhī nahīñ
zindagī terī mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
husn maġhrūr sahī shān-e-ḳhud-ārā.ī par
ishq ke paas to hairat ke sivā kuchh bhī nahīñ
ruḳh badalte hue hālāt se rū-gardānī
ek nākām baġhāvat ke sivā kuchh bhī nahīñ
har-nafas ek na.ī Tiis liye aatā hai
zindagī jabr-e-mashiyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
ishq kī ḳhū-e-vafā husn kā ā.īn-e-sitam
ab to farsūda rivāyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
phir uThī haiñ mirī jānib vo nigāheñ to 'zakī'
dil meñ ab soz-e-mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
ek be-nam si chahat ke siwa kuchh bhi nahin
zindagi teri mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
husn maghrur sahi shan-e-KHud-arai par
ishq ke pas to hairat ke siwa kuchh bhi nahin
ruKH badalte hue haalat se ru-gardani
ek nakaam baghawat ke siwa kuchh bhi nahin
har-nafas ek nai Tis liye aata hai
zindagi jabr-e-mashiyat ke siwa kuchh bhi nahin
ishq ki KHu-e-wafa husn ka aain-e-sitam
ab to farsuda riwayat ke siwa kuchh bhi nahin
phir uThi hain meri jaanib wo nigahen to 'zaki'
dil mein ab soz-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.