ek be-nam si diwar hai bahar mere
ek be-nām sī dīvār hai bāhar mere
kaun jaane jo nayā shahr hai andar mere
fan ke paimāne subuk harf ke kuuze nāzuk
kaise samjhā.ūñ ki kuchh dukh haiñ samundar mere
koī mausam ho mirī chhap mirā rañg apnā hai
merī ye vaz.a ki be-vaz.a haiñ manzar mere
mere hī ruḳh kā araq jauahr-e-gul-hā-e-hunar
zar-garī kaam mirā zaḳhm muqaddar mere
kaise maiñ paañv kī gardish ko ġhalat Thahrā.ūñ
ki hai gardish hī kā ehsān lahū par mere
ab ke bhī chashm-e-numū jaagī to kyā farq paḌā
vahī sūrat ki samar auroñ ke patthar mere
tajraba kar le mire shahr kī sarhad pe ġhanīm
lauh-e-maidān mirā harf haiñ lashkar mere
aane vāloñ se kaho yuuñ na kareñ shor buland
ka.ī ghar aur bhī haiñ ghar ke barābar mere
bol haiñ ras na sahī lamhe meñ narmī na sahī
kuchh to hai baat jo shohre haiñ ye 'mahshar' mere
ek be-nam si diwar hai bahar mere
kaun jaane jo naya shahr hai andar mere
fan ke paimane subuk harf ke kuze nazuk
kaise samjhaun ki kuchh dukh hain samundar mere
koi mausam ho meri chhap mera rang apna hai
meri ye waza ki be-waza hain manzar mere
mere hi ruKH ka araq jauahr-e-gul-ha-e-hunar
zar-gari kaam mera zaKHm muqaddar mere
kaise main panw ki gardish ko ghalat Thahraun
ki hai gardish hi ka ehsan lahu par mere
ab ke bhi chashm-e-numu jagi to kya farq paDa
wahi surat ki samar auron ke patthar mere
tajraba kar le mere shahr ki sarhad pe ghanim
lauh-e-maidan mera harf hain lashkar mere
aane walon se kaho yun na karen shor buland
kai ghar aur bhi hain ghar ke barabar mere
bol hain ras na sahi lamhe mein narmi na sahi
kuchh to hai baat jo shohre hain ye 'mahshar' mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.