ek bhi naw na kaghaz ki tarane dega
ek bhī naav na kāġhaz kī tarāne degā
vo koī jhūThā bahāna na banāne degā
merī āñkhoñ meñ vo aañsū nahīñ aane degā
baat rakh legā mirī baat na jaane degā
vo to bādal hai bhigo degā baras kar man ko
vo ḳhayāloñ kī patañgeñ na uḌāne degā
jāntī huuñ vo palaT aa.egā mausam kī tarah
guzre mausam kī tarah dard purāne degā
ḳhuub aatā hai use dil kī talāshī lenā
vo mujhe rāz-e-mohabbat na chhupāne degā
ek bhi naw na kaghaz ki tarane dega
wo koi jhuTha bahana na banane dega
meri aankhon mein wo aansu nahin aane dega
baat rakh lega meri baat na jaane dega
wo to baadal hai bhigo dega baras kar man ko
wo KHayalon ki patangen na uDane dega
jaanti hun wo palaT aaega mausam ki tarah
guzre mausam ki tarah dard purane dega
KHub aata hai use dil ki talashi lena
wo mujhe raaz-e-mohabbat na chhupane dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.