ek chehra guman mein rahta hai
ek chehra gumāñ meñ rahtā hai
bādaloñ ke jahāñ meñ rahtā hai
ham to pagDanDiyoñ ke raahī haiñ
aur vo kahkashāñ meñ rahtā hai
ishq kī ik yahī ḳharābī hai
har ghaḌī imtihāñ meñ rahtā hai
sirf us kī talāsh hai mujh ko
aur vo āsmāñ meñ rahtā hai
gaañv kā husn dekhiye sāhib
chāñd kachche makāñ meñ rahtā hai
ek chehra guman mein rahta hai
baadalon ke jahan mein rahta hai
hum to pagDanDiyon ke rahi hain
aur wo kahkashan mein rahta hai
ishq ki ek yahi KHarabi hai
har ghaDi imtihan mein rahta hai
sirf us ki talash hai mujh ko
aur wo aasman mein rahta hai
ganw ka husn dekhiye sahib
chand kachche makan mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.