ek chehra hadaf banāne par
dhar liyā kyoñ hameñ nishāne par
sochtā huuñ ye kyā tasalsul hai
TuuT jaatā hai saañs aane par
saare motī bikharte jaate haiñ
ek dhāge ke TuuT jaane par
hijr pīchhe hī paḌ gayā mere
chañd lamhoñ ko gudgudāne par
uñgliyāñ 'najm' ḳhud pe uThne de
tū na uñglī uThā zamāne par
ek chehra hadaf banane par
dhar liya kyon hamein nishane par
sochta hun ye kya tasalsul hai
TuT jata hai sans aane par
sare moti bikharte jate hain
ek dhage ke TuT jaane par
hijr pichhe hi paD gaya mere
chand lamhon ko gudgudane par
ungliyan 'najm' KHud pe uThne de
tu na ungli uTha zamane par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.