ek chehra tera hai ghar ke liye
ek chehra tirā hai ghar ke liye
ek chehra bhare nagar ke liye
dūsrā ishq ab nahīñ hogā
dard kaafī hai ek sar ke liye
dil bahaltā hai aisī bātoñ se
kab hai māñgī duā asar ke liye
aur bhī zād-e-rāh haiñ lekin
lāzmī hai yaqīñ safar ke liye
be-basar tū nahīñ hai maan liyā
ho basīrat bhī rāhbar ke liye
qariya-e-jāñ meñ ḳhushk-sālī hai
dil tarastā hai chashm-e-tar ke liye
kitne zī-rūh phir rahe haiñ yahāñ
kyoñ haiñ sab zābte bashar ke liye
kyoñ bhalā ek dil ko de Daalā
ġham banā thā jo shahr bhar ke liye
yuuñ 'hidāyat' talāsh meñ apnī
jaise tarse shajar samar ke liye
ek chehra tera hai ghar ke liye
ek chehra bhare nagar ke liye
dusra ishq ab nahin hoga
dard kafi hai ek sar ke liye
dil bahalta hai aisi baaton se
kab hai mangi dua asar ke liye
aur bhi zad-e-rah hain lekin
lazmi hai yaqin safar ke liye
be-basar tu nahin hai man liya
ho basirat bhi rahbar ke liye
qariya-e-jaan mein KHushk-sali hai
dil tarasta hai chashm-e-tar ke liye
kitne zi-ruh phir rahe hain yahan
kyon hain sab zabte bashar ke liye
kyon bhala ek dil ko de Dala
gham bana tha jo shahr bhar ke liye
yun 'hidayat' talash mein apni
jaise tarse shajar samar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.