ek chehre pe aḌ gayā huuñ maiñ
kis musībat meñ paḌ gayā huuñ maiñ
tū samajh hijr merī marzī hai
tū samajh ḳhud bichhaḌ gayā huuñ maiñ
jaise gul-dāñ ḳhizāñ ke mausam meñ
dekho kitnā ujaḌ gayā huuñ maiñ
terī islāh kā natīja hai
is qadar jo bigaḌ gayā huuñ maiñ
nīlgūñ jhiil ye batātī hai
terī āñkhoñ ko laḌ gayā huuñ maiñ
ek chehre pe aD gaya hun main
kis musibat mein paD gaya hun main
tu samajh hijr meri marzi hai
tu samajh KHud bichhaD gaya hun main
jaise gul-dan KHizan ke mausam mein
dekho kitna ujaD gaya hun main
teri islah ka natija hai
is qadar jo bigaD gaya hun main
nilgun jhil ye batati hai
teri aankhon ko laD gaya hun main
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.