ek darwaza kya khula bahar
ek darvāza kyā khulā bāhar
ghar kā har fard chal diyā bāhar
dekh yaḳh-basta hai havā bāhar
is tarah ek dam na jā bāhar
chal diye yuuñ sanam-kade se ham
jaise mil jā.egā ḳhudā bāhar
ek tujh se rahe hamesha duur
varna kyā kuchh nahīñ milā bāhar
ghar meñ aa kar sukūñ milā 'bāsir'
kis qadar tez thī havā bāhar
ek darwaza kya khula bahar
ghar ka har fard chal diya bahar
dekh yaKH-basta hai hawa bahar
is tarah ek dam na ja bahar
chal diye yun sanam-kade se hum
jaise mil jaega KHuda bahar
ek tujh se rahe hamesha dur
warna kya kuchh nahin mila bahar
ghar mein aa kar sukun mila 'basir'
kis qadar tez thi hawa bahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.