ek dastak pe ye darwaza khula bhi kuchh der
ek dastak pe ye darvāza khulā bhī kuchh der
koī aaya dil-e-vīrāñ meñ rukā bhī kuchh der
merī āvāz pe palTā bhī vo āñkheñ bhī thiiñ nam
jaate jaate mire siina se lagā bhī kuchh der
itnā paas aa ki mirī sāñsoñ meñ ḳhushbū bhar jaa.e
ḳhvāb kī tarah mirī āñkhoñ meñ aa bhī kuchh der
jism simTe to lagā nabz na tham jaa.e kahīñ
saañs ruk jaane kā dhaḌkā sā huā bhī kuchh der
vaqt-e-ruḳhsat thā fazā meñ bhī tire hijr kā dukh
āñsuoñ se mire bhīgī thī sabā bhī kuchh der
ek dastak pe ye darwaza khula bhi kuchh der
koi aaya dil-e-viran mein ruka bhi kuchh der
meri aawaz pe palTa bhi wo aankhen bhi thin nam
jate jate mere sina se laga bhi kuchh der
itna pas aa ki meri sanson mein KHushbu bhar jae
KHwab ki tarah meri aankhon mein aa bhi kuchh der
jism simTe to laga nabz na tham jae kahin
sans ruk jaane ka dhaDka sa hua bhi kuchh der
waqt-e-ruKHsat tha faza mein bhi tere hijr ka dukh
aansuon se mere bhigi thi saba bhi kuchh der
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.